Pak_Army's Poetry SMS
{AFSANA}
Ek Dost bola tu shadi kis se karege? Main na kaha main shadi shuda hon Kehne lage kon hai tera jeewan sathi? Main ne kaha Yaadain hain kisi ki kehne lage kis ne Parhaua tha tera nikah? Main ne kaha Mustaqbil k khawabon ne. wo boli kesi guzar rahi hai zindagi? Mein bolne hi wali thi k ankhon se aansu chalak paray Wo boli usay chore kyun nahi date? Mein ne kaha HAQ-MEHAR main apni Zindage likhi huwi hai.. Dedicated to my Students:- Nishat
Ek din aansuon ne mujh se poocha roz roz kyun bulate ho main ne kaha main usey yaad karta hun tum kyun chale aate ho
Apni yaden, apni batain lay ker jana bhool gaya, Janay wala jaldi main tha, mil ker jana bhool gaya, Mur, murr ker dekha tha usnay jatay rastay main, Jesay usnay kehna tha kuch, jo wo kehna bhol gaya, Waqt-e-rukhsat meri ankhain ponch raha tha anchal se, usko gham tha itna ziyadah, khud wo roona bhool gaya
Kaisay kahon k apna bana lo mujhey, Bahoun main apni sama lo mujhey, Bin tumharay ek pal bhi kat-ta nahin, Tum aa ker mujh se chura lo mujhey, Zindagi to wo hai sang tumharay jo guzray, Duniya k ghamoun se ab chura lo mujhey, Mere sab se gehri Khuwahish ho puri, Tum agar pas apnay bula lo mujhey, Yeh kaisa nasha hai jo behka raha hai, Tumhara hon main tu phir sanbhalo mujhey, Najanay phir kaisay guzray gi Zindagani, Agar apnay dil se kabhi tum nikalo mujhey.
Khud ko is dil main basanay ki ijazat day do, Mujh ko tum apna bananay ki ijazat day do, Tum meri zindagi ka ek haseen lamha ho, Pholon say khud ko sajanay ki ijazat day do, Mein kitna chahta hon kis tarah bataon tumhein, Mujhey yeh batanay ki ijazat day do, Tumhari raat si zulfon mein chand sa chahra, Yeh jaan tum phir lutanay ki ijazat day do, Nahin shoq Saqib ko bhool ka magar, Mujhey yeh duniya bhool janay ki ijazat day do
Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi, Jab chand sitare chamak rahe hon, Jab yadon k phool mehek rahe hon, Jab deed ko nain taras rahe hon, jab ankhon se ansu baras rahe hon, Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi Jab tanhai se dil ghabrae ga, Jub tumhein akela pan sataye ga, Jab koi khuab he na aye ga, Jab phool kitab mein he reh jayenge, Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi
Aik pyari si larki hay wo, Meray dil main rehti hay jo, Meray sapni ki rani hay, Dil mein dharkan ki tarah basti hay wo, Jaisay dariya main kanwal khila ho, Itna pyara hasti hay wo, Koyal ki koo koo say ziyada, Geet sureela gati hay wo, Anakhan us ki, kiya kehna Jaisay koi neeli jheel or wo, Mera uska rishta hay kuch aisa, Jaisay dil hon main aur dharkan wo, Kuch khafa khafa si lagti hay, Najanay aaj kion chup baithi hay wo.
Nazar jub tum se milti hai main khud ko bhool jata hoon, Bas ek dharkan dharakti hai, main khud ko bhool jata hon, Tumhain milne se pehle main bohut sajta sanwarta hon, Magar jub tum sanwarti ho main khud ko bhool jata hon, Main aksar kitabon pe tera hi naam likhta hon, Magar kuch tum jo likhti ho main khud ko bhool jata hon, Main aksar yehi kehta hon, main tum say pyar karta hon, Magar jub tum yeh kehti ho main duniya bhool jata hon
Kaash k usay chahnay ka Arman na hota, Main hosh main hote howay anjaan na hota, Yeh pyaar na hota kisi patthar dil se hamain, Ya koi patthar dil insan na hota
Baton say bhee yeh gham kyon kam naheen hotey Aansuon sey dil k koney nam naheen hote Thee bahut umeed to apnon sey is dil ko kabhee Par hameshaa saath ye hamdam naheen hote Bebasee hansne lagee khaamoshi ab hai goonjtee Band kamron men koyee mausam naheen hote Jab khushee hai naachtee gaatee hai man kee har kalee Un gharon men kyaa kabhee maatam naheen hote Pyaar sab miltaa jinhen ranjish naheen koyee kabhee Kyaa kabhee aise dilon men gham naheen hote
Business Listings samsung e490 Use set SamSung E490 folding gud condtion only serious buyer call 2000 Sunfort Hotel, Lahore The Sun Fort Hotel is located in famous area of Gulberg Lahore. There are major business, shopping and dining places near to this hotel. The Sun Fort Hotel is created for fulfilling the business tourist needs. This hotel is offer to the visitor rooms... MacDonald's Main Boulevard Gulberg Lahore McDonald’s Pakistan is part of the Lakson Group of Companies, a leading business house in Pakistan. McDonald’s first restaurant opened its door to the people of Pakistan in September 1998 in Lahore. This launch was met with unprecedented enthus... TRG - The Resource Group The Resource Group (TRG) Pakistan is the country’s largest provider of BPO services with 4 locations in Karachi and Lahore – Pakistan’s largest cities and financial centres. TRG Pakistan set up its operations in 1999 by establishing a contact ... i want to sale my VItzz Car i want to sale my VItzz Car |
|